aditya roy kapur etiketine sahip kayıtlar gösteriliyor. Tüm kayıtları göster
aditya roy kapur etiketine sahip kayıtlar gösteriliyor. Tüm kayıtları göster

10 Ağustos 2021 Salı

BALAM PICHKARI LYRICS - YEH JAWAANI HAI DEEWANI - RANBIR KAPOOR - DEEPIKA PADUKONE

balam pichkari Balam Pichkari Song Detail
Album : Yeh Jawaani Hai Deewani (2013)
Singer : Shalmali Kholgade, Vishal Dadlani
Musician : Pritam Chakraborty
Written by: Amitabh Bhattacharya
Starring: Ranbir Kapoor, Deepika Padukone, Aditya Roy Kapoor

BALAM PICHKARI LYRICS

Itna maza, kyun aa raha hai
Tune hawa mein bhaang milaya

Itna maza, kyun aa raha hai
Tune hawa mein bhaang milaya
Dugna nasha, kyun ho raha hai
Aankhon se meetha tune khilaya

Ho teri malmal ki kurti gulabi ho gayi
Manchali chaal kaise nawaabi ho gayi, toh?

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi
Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi

Teri kalaai hai, haathon mein aayi hai
Maine maroda toh lagti malaai hai
Mehenga padega ye chaska malaai ka
Upvaas karne mein teri bhalaai hai
Ho bindiya teri mehtaabi ho gayi
Dil ke armaanon mein behisaabi ho gayi, toh?

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi
Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi

Kyun ‘no-vacancy’ ki, hothon pe gaali hai
Jabki tere dil ka kamra toh khaali hai(kamra toh khaali hai…)
Mujhko pata hai re
Kya chahata hai tu
Boli bhajan teri
Neeyat Qawwali hai

Zulmi ye haazir-jawaabi ho gayi
Tu toh har taale ki aaj chaabi ho gayi, toh?

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa, Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi
Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi

Haan, bole re zamana kharabi ho gayi
Haan, bole re zamana kharabi ho gayi…

BADTAMEEZ DIL LYRICS - YEH JAWAANI HAI DEEWANI - RANBIR KAPOOR - DEEPIKA PADUKONE

badtameez dil Badtameez Dil Song Detail
Album : Yeh Jawaani Hai Deewani (2013)
Singer : Benny Dayal, Shefali Alvares
Musician : Pritam Chakraborty
Written by: Amitabh Bhattacharya
Starring: Ranbir Kapoor, Deepika Padukone, Aditya Roy Kapoor

BADTAMEEZ DIL LYRICS

Badtameezee ek bimari hai
Ek aisi bimari
Jo dheere dheere waqt ke saath
Budhaape mein badal jaati hai
Main kehta hoon jab tak budhaapa nahi aata
Thodi badtameezee hi kar lete hai

Paan main pudeena dekha
Naak ka nageena dekha
Chikni chameli dekhi
Chikna kameena dekha
Chaand ne cheater hoke cheat kiya toh
Saare taare bole gilli gilli akhaa

Pa para para…
Meri baat, teri baat
Zyada baatein boori baat
Thaali mein katora leke
Aaloo bhat, Muri bhat
Mere peeche kisi ne repeat kiya toh
Saala maine tere muh pe maara mukka

Ispe bhoot koi chadha hai
Theharna jaane naa
Ab toh kya buraa kyaa bhalaa hai
Fark pehchaane naa
Zidd pakad ke khadaa hai kambakht
Chhodna jaane naa

Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na
Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na

Yeh jo haal hai, sawaal hai, kamaal hai
Jaane na jaane na
Badtameez dil, battameez dil badtameez dil
Maane naa..

Hawa mein Havana dekha
Dhimka falaana dekha
Seeng ka Singhara khaake
Sher ka ghuraana dekha
Poori duniya ka gol gol chakkar leke
Maine duniya ko maara dhakka

Pa para para..
Hey Bollywood Hollywood very very jolly good
Raayi ke pahaad par teen futa liliput
Mere peeche kisi ne repeat kiya toh
Saala maine tere muh pe maara mukka

Ayaashi ke one way se khudko
Modna jaane naa
Kambal bewajah sharam ka
Odhna jaane naa
Zidd pakad ke khadha hai kambakht
Chodhna jaane na… Haha..

Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na
Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na

Aaj saare, chaand taare
Bann gaye hai disco lights
Jal ke, bujha ke humko bula ke
Keh rahe hai, Party all nights
Naata betuki dillagi se, todna jaane na
Aane wale kal ki fikar se, judna jaane na

Zidd pakad ke khada hai kambakht
Chodhna jaane na… Haha..

Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na
Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na

Yeh jo haal hai, sawaal hai, kamaal hai
Jaane na jaane na
Badtameez dil, battameez dil badtameez dil
Maane naa..

9 Ağustos 2021 Pazartesi

KABIRA LYRICS - YEH JAWAANI HAI DEEWANI - RANBIR KAPOOR - DEEPIKA PADUKONE

kabira Kabira Song Detail
Album : Yeh Jawaani Hai Deewani (2013)
Singer : Rekha Bhardwaj, Tochi Raina, Arijit Singh, Harshdeep Kaur
Musician : Pritam Chakraborty
Written by: Amitabh Bhattacharya
Starring: Ranbir Kapoor, Deepika Padukone, Aditya Roy Kapoor

Kabira Lyrics

Kaisi teri khudgarzi
Na dhoop chune na chhaaon
Kaisi teri khudgarzi
Kisi thor tike na paaon (x2)

Ban liya apna paigambar
Tar liya tu saat samandar
Phir bhi sookha mann ke andar
Kyun reh gaya

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera maan jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera maan ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Tooti chaarpaai wohi
Thandi purvaai rasta dekhe
Doodhon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe..

Kaisi teri khudgarzi
Lab namak rame na misri
Kaisi teri khudgarzi
Tujhe preet purani bisri..
Mast Maula, mast Kalander
Tu hawa ka ek bavandar
Bujh ke yun andar hi andar
Kyun reh gaya..

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera maan jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera maan ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya…

Banno re banno meri chali sasuraal ko
Ankhiyon mein paani de gayi
Duaa mein meethi gud dhaani le gayi (x2)

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na ja
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Re Kabira, Re Kabira
Re Fakeera, Re Fakeera… (x2)

Tooti chaarpai wohi thandi purvaai rasta dekhe
Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe… (x2)

Ho Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe.

Gudiya ri gudiya tera gudda perdesiya
Jodi aasmani ho gayi
Shagun pe dekho shaad maani ho gayi (x2)

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Re Kabira, Re Kabira…