arijit singh etiketine sahip kayıtlar gösteriliyor. Tüm kayıtları göster
arijit singh etiketine sahip kayıtlar gösteriliyor. Tüm kayıtları göster

12 Eylül 2025 Cuma

JHOOME JO PATHAAN - PATHAAN - SHAH RUKH KHAN - DEEPIKA PADUKONE

Joome Jo Pathaan Jhoome Jo Pathaan Song Detail
Album : Pathaan (2022)
Singer : Sukriti Kakar, Arijit Singh, Shekhar Ravjiani, Vishal Dadlani
Starring: Shah Rukh Khan, Deepika Padukone

JHOOME JO PATHAAN LYRICS

Tumne mohabbat karni hai
Humne mohabbat ki hai
Iss dil ke ilaawa kisi se bhi na
Humne ijaazat li hai

Hunar hai yeh bhi ishq ka
Kisi-kisi ko aata hai
Jaan luta ke dushman ki
Humne hifaazat ki hai

Baat karte hain hazaaron (hazaaron)
Hai tajurba humein, yaaron (haan, yaaron)
Baat karte hain hazaaron
Hai tajurba humein, yaaron
Aisi hai (ada) baandh loon (hawa)
Mujh pe woh (Khuda dil se dua barsaye)

Jhoome jo Pathaan, meri jaan
Mehfil hi lut jaaye
De-de jo zubaan, meri jaan
Uss pe mar-mit jaaye

Jhoome jo Pathaan, meri jaan
Mehfil hi lut jaaye
De-de jo zubaan, meri jaan
Uss pe mar-mit jaaye

Pa dha pa dha ma pa, pa dha pa dha ma pa
Ga pa ma dha ni ga re sa ga re ma
Pa dha pa dha ma pa, pa dha pa dha ma pa
Ga pa ma dha ma ga re ga re sa

Muqaabla kaise hum karte hain, yaar
Ab ki baar tareeqa hum batayenge
Tareeqa hum batayenge
Kaise dushman pe hum marte hain, yaar
Ab ki baar tareeqa hum batayenge
Tareeqa hum batayenge

Yaar kar de jo ishara (ishara)
Dil main de doon dobara (dobara)
Yaar kar de jo ishara
Dil main de doon dobara
Pyaar ka (nasha) aisa hai (chadha)
Hoke yoon (fida dushman gale lag jaaye)
(Jaaye-jaaye-jaaye-jaaye)

Jhoome jo Pathaan, meri jaan
Mehfil hi lut jaaye
De-de jo zubaan, meri jaan
Uss pe mar-mit jaaye

Jhoome jo Pathaan, meri jaan
Mehfil hi lut jaaye
De-de jo zubaan, meri jaan
Uss pe mar-mit jaaye

Pa dha pa dha ma pa, pa dha pa dha ma pa
Ga pa ma dha ni ga re sa ga re ma
Pa dha pa dha ma pa, pa dha pa dha ma pa
Ga pa ma dha ma ga re ga re sa

27 Ağustos 2021 Cuma

FIRST CLASS LYRICS - KALANK - VARUN DHAWAN - ALIA BHATT

first class First Class Song Detail
Album : Kalank
Singer : Arijit Singh - Neeti Mohan
Written by: Arijit Singh - Neeti Mohan
Starring: Varun Dhawan, Alia Bhatt, Sonakshi Sinha

First Class Lyrics

Mere hothon se dhuaandhaar nikalti hai jo boli
Jaise jaise bandook ki goli
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise jaise ho Eid me Holi

Mere hothon se dhuaandhaar nikalti hai jo boli
Jaise jaise bandook ki goli
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise jaise ho Eid me Holi

Mere jeevan ki dasha
Thoda raston ka nasha
Thodi manzil ki pyaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan kasam se
Baaki sab first class hai

Pal mein tola pal mein masha
Jaisi baazi waisa pasha
Apni thodi hattke duniyadaari hai
Karna kya hai chandi sona
Jitna paana utna khona
Hum toh dil ke dhande ke vyapari hain

Meri muskaan liye kabhi aati hai subah
Kabhi shamein udaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan kasam se
Baaki sab first class hai

Ho sabke hothon pe charcha tera
Bant’ta galiyon mein parcha tera
Yun toh aashiq hain laakhon magar
Sabse ooncha hai darjaa tera
Jeb mein ho athanni bhale
Chalta noton mein kharcha tera
Yun toh aashiq hain laakhon magar
Sabse ooncha hai darjaa tera
Sabse ooncha hai darjaa tera

Meri taareef se chhupti phire badnaamiyan meri
Jaise jaise ho aankh micholi
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise jaise ho Eid me Holi

Mere jeevan ki dasha
Thoda raston ka nasha
Thodi manzil ki pyaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan kasam se
Baaki sab first class hai
Haan!

13 Ağustos 2021 Cuma

QAAFIRANA LYRICS - KEDARNATH - SUSHANT SINGH RAJPUT - SARA ALI KHAN

qaafirana Qaafirana Song Detail
Album : Kedarnath
Singer : Arijit Singh, Nikhita Gandhi
Musician : Amit Trivedi
Written by: Amitabh Bhattacharya
Starring: Sushant Singh Rajput, Sara Ali Khan

Qaafirana Lyrics

Inn waadiyon mein takra chuke hain
Humse musafir yun toh kayi
Dil na lagaya humne kisi se
Qisse sune hain yun toh kayi

Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai

Khamishiyon mein boli tumhari
Kuch iss tarah goonjti hai
Kaano se mere hote huve wo
Dil ka pata dhoondhti hai
Beswadiyon mein, beswadiyon mein
Jaise mil raha ho koi zaayka

Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai

Godi mein pahadiyon ki
Ujli dopahri guzarna
Haaye haaye tere saath mein, acha lage
Sharmeeli akhiyon se tera
Meri nazrein utaarna
Haaye haaye har baat pe acha lage
Dhalti shaam ne bataya hai
Ki door manzil pe raat hai
Mujhko tasalli hai yeh
Ki hone talak raat hum dono saath hain

Sang chal rahe hain
Sang chal rahe hain
Dhoop ke kinaare chhaaon ki tarah

Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai?
Hmm, Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai

JAAN NISAAR LYRICS - KEDARNATH - SUSHANT SINGH RAJPUT - SARA ALI KHAN

jaan nisaar Jaan Nisaar Song Detail
Album : Kedarnath
Singer : Arijit Singh
Musician : Amit Trivedi
Written by: Amitabh Bhattacharya
Starring: Sushant Singh Rajput, Sara Ali Khan

Jaan ’Nisaar (Arijit Version)

Na maaregi deewangi meri, na maaregi awaaregi meri
Ke maaregi zyada mujhe maut se naraazagi teri
Kyun itna huaa hai tu khafa?
Hai zidd kis baat ki teri?
Ke maaregi zyada mujhe maut se naraazagi teri

Jaan ‘nisaar hai, jaan ‘nisaar
Tere pyaar pe mere yaar, jaan ‘nisaar hai, hmm

Duniya zamaane se rishte mitaaye hain
Tujhse hi yaari hai humari, ek baar to aa
Maine nibhaya hai, karke dikhaaya hai
Le teri baari, ik vaari tu bhi pyar nibha
Tu bhi pyaar nibha, o yaara

Teri berukhi se hai badi, umar intezaar ki meri
Ke maaregi zyada mujhe maut se naraazagi teri
Kyun itna huaa hai tu khafa?
Hai zidd kis baat ki teri?
Ke maaregi zyada mujhe maut se naraazagi teri

Jaan ‘nisaar hai, jaan ‘nisaar
Tere pyaar pe mere yaar
Jaan ‘nisaar hai, jaan ‘nisaar
Tere pyaar pe mere yaar, jaan ‘nisaar hai, hmm

10 Ağustos 2021 Salı

THE BREAKUP SONG LYRICS - AE DIL HAI MUSHKIL - RANBIR KAPOOR - ANUSHKA SHARMA

the break up song The Breakup Song Detail
Album : Ae Dil Hai Mushkil
Singer : Arijit Singh, Jonitha Gandhi
Musician : Pritam Chakraborty
Written by: Arijit Singh
Starring: Ranbir Kapoor, Anushka Sharma

THE BREAKUP SONG

[Intro]
Breakup song, breakup song
Karde dil ki feeling strong
Saade chaar minute long
Breakup song, breakup song
Break break B B.. Breakup song
Break break B B.. Breakup song

[Verse 1: Jonita Gandhi]
Angrezi chidiya ki khaatir
Desi dil mera tod diya
Maine chhod diya, Usse chhod diya
Uski kaali kartooton ne
Uska bhaanda phod diya
Maine chhod diya, Usse chhod diya

[Pre-Chorus: Jonita Gandhi]
Dil pe patthar rakh ke
Munh pe makeup kar liya
Oh dil pe patthar rakh ke
Munh pe makeup kar liya

[Chorus: Jonita Gandhi]
Mere saiyyan ji se aaj
Maine breakup kar liya
Mere saiyyan ji se aaj
Maine breakup kar liya
Subah savere uth ke maine
Ye sab kar liya
Mere saiyyan ji se aaj
Maine breakup kar liya

[Pre-Chorus: Arijit Singh]
Humko bin bataye tune ye kab kar liya?
Are, humko bin bataye tune ye kab kar liya?

[Chorus: Arijit Singh & Jonita Gandhi]
O, tere saiyyan ji se kaahe tune break up kar liya
Tere saiyyan ji se kaahe tune breakup kar liya
Subah savere uth ke maine ye sab kar liya
Tere saiyyan ji se kaahe tune breakup kar liya
(B-B-Breakup song)

[Verse 2: Jonita Gandhi]
Kuch din to rona dhona bumper kiya
Aur phir delete uska number kiya
Aansu jo sookhe seedha parlour gayi
Parlour mein jaake shampoo jamkar kiya

[Pre-Chorus: Jonita Gandhi]
College ki saheliyon se catch-up kar liya
Arey college ki saheliyon se catch-up kar liya
Jinko mill na paayi unko whatsapp kar diya

[Chorus: Jonita Gandhi]
Mere saiyyan ji se aaj maine breakup kar liya
Subah savere uth ke maine ye sab kar liya
Mere saiyyan ji se aaj maine breakup kar liya

[Verse 3: Badshah]
Look, baby mujhe lagta hai ki
Jo bhi tune kiya hai wo very very right hai
Bhoot-kaal ko bhool ja ab tu
Aane wala future very very bright hai
Main hoon na baby saath tere
Party sharty honi poori night hai
Mind na karna jo thoda zyada bol doon
Kyunki banda very very tight hai
Usse phone mila aur gaali de
Photo jala ke karde raakh
Saale teri maa ki aankh!

[Verse 4: Arijit Singh]
Kalti hua jo saiyan stupid tera
Jeevit hua hai phir se cupid tera
Baasi relationship ka label hata
Duniya ko tu hai available bata

[Pre-Chorus: Arijit Singh]
Are mere soye armaano ko wake up kar diya
Are mere soye armaano ko wake up kar diya
Ke tere saiyan ji se (aaha!)
Tune breakup kar liya

[Chorus: Arijit Singh]
Tere saiyyan ji se kaahe tune..
O, tere saiyyan ji se kaahe tune breakup kar liya
Tere saiyyan ji se kaahe tune breakup kar liya

[Outro]
B-B-Breakup song
Karde dil ki feeling strong

AE DIL HAI MUSHKIL (TITLE TRACK) LYRICS - RANBIR KAPOOR - ANUSHKA SHARMA

ae dil hai mushkil Ae Dil Hai Mushkil Song Detail
Album : Ae Dil Hai Mushkil
Musician : Pritam Chakraborty
Written by: Arijit Singh
Starring: Ranbir Kapoor, Anushka Sharma

AE DIL HAI MUSHKIL (Title Track)

Tu safar mera, hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara, Ae dil hai mushkil
Tu mera khuda, Tu hi duaa main shaamil
Tere bina guzara, Ae dil hai mushkil
Mujhe azmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi

[Chorus]
Junoon hai mera, Banu main tere kaabil
Tere bina guzaara, Ae dil hai mushkil

[Verse 2]
Ye rooh bhi meri, Ye jism bhi mera
Utna mera nahi, Jitna hua tera
Tune diya hai jo, Wo dard hi sahi
Tujhse mila hai to inaam hai mera
Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi

[Chorus]
Zameen pe na sahi, To aasmaan mein aa mil
Tere bina guzaara, Ae dil hai mushkil

[Verse 3]
Maana ki teri maujoodgi se
Yeh zindagani mehroom hai
Jeene ka koi dooja tareeka
Na mere dil ko maloom hai
Tujhko main kitni shiddat se chaahun
Chahe toh rehna tu bekhabar
Mohtaj manzil ka toh nahi hai
Yeh ek tarfa mera safar safar
Khoobsurat hain manzil se bhi

[Chorus]
Meri har kami ko hai tu laazmi
Adhoora hoke bhi hai ishq mera kaamil
Tere bina guzara ae dil hai mushkil

CHANNA MEREYA LYRICS - AE DIL HAI MUSHKIL - RANBIR KAPOOR - ANUSHKA SHARMA

channa mereya Channa Mereya Song Detail
Album : Ae Dil Hai Mushkil
Musician : Pritam Chakraborty
Written by: Arijit Singh
Starring: Ranbir Kapoor, Anushka Sharma

CHANNA MEREYA LYRICS

Accha chalta hoon
Duaaon mein yaad rakhna
Mere zikr ka zubaan pe swaad rakhna

Accha chalta hoon
Duaaon mein yaad rakhna
Mere zikr ka zubaan pe swaad rakhna

Dil ke sandookon mein
Mere acche kaam rakhna
Chitthi taaron mein bhi
Mera tu salaam rakhna

Andhera tera maine le liya
Mera ujla sitaara tere naam kiya

Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…

Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…O piya…piya…piya…O piya…Mmm

Mmm… mehfil mein teri
Hum naa rahe jo
Gham toh nahi hai
Gham toh nahi hai
Qisse humaare nazdeeqiyon ke
Kam toh nahi hai
Kam toh nahi hai

Kitni dafaa, subah ko meri
Tere aangan me baithe
Maine shaam kiya

Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…

Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…O piya…O piya… Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya o piya.

Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya o piya

Tere rukh se apna raasta
Mod ke chalaa
Chandan hoon main
Apni khushboo chhod ke chala

Mann ki maaya rakh ke
Tere takiye tale
Bairagi, bairagi ka sooti chaula
Odh ke chalaa

Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
Aaah.. O piya…

9 Ağustos 2021 Pazartesi

KABIRA LYRICS - YEH JAWAANI HAI DEEWANI - RANBIR KAPOOR - DEEPIKA PADUKONE

kabira Kabira Song Detail
Album : Yeh Jawaani Hai Deewani (2013)
Singer : Rekha Bhardwaj, Tochi Raina, Arijit Singh, Harshdeep Kaur
Musician : Pritam Chakraborty
Written by: Amitabh Bhattacharya
Starring: Ranbir Kapoor, Deepika Padukone, Aditya Roy Kapoor

Kabira Lyrics

Kaisi teri khudgarzi
Na dhoop chune na chhaaon
Kaisi teri khudgarzi
Kisi thor tike na paaon (x2)

Ban liya apna paigambar
Tar liya tu saat samandar
Phir bhi sookha mann ke andar
Kyun reh gaya

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera maan jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera maan ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Tooti chaarpaai wohi
Thandi purvaai rasta dekhe
Doodhon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe..

Kaisi teri khudgarzi
Lab namak rame na misri
Kaisi teri khudgarzi
Tujhe preet purani bisri..
Mast Maula, mast Kalander
Tu hawa ka ek bavandar
Bujh ke yun andar hi andar
Kyun reh gaya..

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera maan jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera maan ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya…

Banno re banno meri chali sasuraal ko
Ankhiyon mein paani de gayi
Duaa mein meethi gud dhaani le gayi (x2)

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na ja
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Re Kabira, Re Kabira
Re Fakeera, Re Fakeera… (x2)

Tooti chaarpai wohi thandi purvaai rasta dekhe
Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe… (x2)

Ho Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe.

Gudiya ri gudiya tera gudda perdesiya
Jodi aasmani ho gayi
Shagun pe dekho shaad maani ho gayi (x2)

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Re Kabira, Re Kabira…